namaz ka masla | FB Page
Bismihi Ta’aaLa
◑━═━◐━═━◑━═━◐
Namaz ka masla : Sajda e Sahw ke Masaail
◐ S A W A A L-002
◑━═━◐━═━◑━═━◐
Agar Koi Shakhsh 4 Rak’at WaaLi Sunnat Aur NafL Namaz Me Do Rak’at Par Kiye Jaane WaaLe Qaida-e-ula Me Attahiyyat Parhne Ke Ba’ad Durud Shareef Bhi ParhLe To Kya Us Par Sajda-e-sahw Waajib Hoga ?
◐ J A W A A B-002
◑━═━◐━═━◑━═━◐
Agar 4 Rak’at WaaLi Farz, Waajib Aur Sunnat-e-mu’akkadah Ke PehLe Qaidah Me Attahiyyat Ke Ba’ad Durud Shareef Bhi Parha
To Agar “ALLahumma SaLLi ALaa Muhammad” Ya Us Se Zyadah Parha To Sajda-e-sahw Waajib Hoga,
Aur Agar 4 Rak’at WaaLi Sunnat-e-Ghair Muaqqidah Aur NafL Ke PehLe Qaidah Me Attahiyyat Ke Ba’ad Durud Shareef Parha, Chaahe Puri Parhde Fir Bhi Sajda-e-sahw Waajib Nahi Hoga,
BaL-ke In Do Namazon Ke Qa’ada-e-uLa Me Durud Parhna Mustahab Hai.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
•.UmdatuL Fiqah-2/228.
• Zere Sar Parasti :
MauLana Ahmad Sahab.
• Zere Nighraani :
MauLana Ameen Sahab.
_______MiLLi Quiz.
_______M.Ibrahim.
31/03/2014.